Reviews from our customers

See how we take care of our customers' experience with reliability, top quality and more

Day boarding ke liye bhut hi acha therapy centre hai. Bhut se parents ko ko yhi problem aati h ki one hour ki therapy ko hum ghar pe kese generlize kre. Its a best therapy centre for generization skills. ~ Renu A
Hi main basically jharkhand se hun but abhi me jalandhar me rhti hun apne husband ke sath , mera beta 3.5 year ka hai. Mera bete ka behaviour is tarh ka h humne jo bhi bolna usne samne se usko repeat hi krna , agar hum uska name bhi le rhe h to bhi usne repeat hi krna , and sitting to bilkul bhi nhi thi. Usne koi bhi command follow nhi krni koi bat nhi sunni bs hr bar aage se repeat hi krna. Fir mere husband ke friend ne unko yha ka suggest kiya humne last month apne bache ki assessment yha per krwayi fir mam ne hume sb kuch btaya her ek area explain kia. Kis age per kya bache ka jona chahiye. Abhi hume thoda hi time yha per aaye hue hua hume within two weeks hi changes dikhna start ho gye . Thank you 🙏 ~ manisha k
Mera beta 5 years ka hai , jb vo 3years ka tha tb usko ASD diagnosed hua tha fir humne uski ek therapy centre me therapy bhi start ki thi but hume usme koi bhi change nhi dikhe , wah pr humne 5 month continue therapy krwane ke bad bhi koi bhi changes nhi aa rhe the koi improvement nhi thi. Fir humne wah se left kr dia. Fir humne ek or therapy centre me try Kia fir wah tk humne one year therapy krwayi improvement to aayi but only centre environment me. Hume ek esa therapy centre chahiye tha jha per hmara bacha schooling ke liye ready ho ske . Fir humne is centre ke bare mekha hum yha per three month se therapy krwa rhe h and hmara bacha school bhi jata hai. Hume bhut hi jyda improvement hai. Thank you so much 🙏 mam. ~ Sonia S
Really good therapy for kids having problems (ADHD, Autism, MR, Learning disability, learning difficulty). Really supportive and good staff. ~ itz g
Hlo parents, me ajj aapke sath apne bache ki journey share Krna chahti hun , me apne bache ke bare me isily Btane ka rhi hun because as a parent hum apne bache ka future kudh decide krne ke bjaye oro ke bare me jyada sochte h ki log kya khege, ya fir family ki bato me aa jate h ki iska koi treatment nhi h ye ho jayega time ke sath tikh , ya fir medication ki side chle jate hai. To isiliye apne bache ka future kudh dicide kre. Mera beta 4yrs ka hai. Or vo bhut hi hyper , tik ke ni bethna , no commands following, repetitive speech, ese bhut si problem hume daily life me face krni pdti thi. Or hume ek esa therapy centre chahiye tha ki jo hume pure din ki facility provide kr ske fir mujhe day boarding ke bare me pta chla , to mene apne bache ko yha pr daala , abhi mujhe 2 month hue therapy krwate hue , mere bache me bhut se changes dekhne ko mil rhe hai . To aap kisi ki b bato se misguide na hokar , apne bache ke liye best therapy centre choose kre, than you so much. ~ simran
Hello I am from Jalandhar, meri beti 4 sal ki hai , and uske behaviours 1:5 years se kuch ese the ki , na hi usne hume apne name per respond Krna , and all the time bs toys me hi busy rhna, and hum usko bulaye to usne aage se bhut gussa dikhana , hume kuch bhi samjh nhi aa rha tha ki ye ese kyu krti hai. Fir humne usko hospital me check krwaya to unhon hume bola no issue is age me bache krte hai ese kuch ni hai.fir jab vo 3 years ki hui to uska behaviour or jada khrab ho gya , fir ek din vese hi phone pe vidios dekhte dekhte autism word suna fir mene uspe bhut researching start ki to mujhe bhut se ese symptoms apni beti se match hote mile. Humne us time kisi or dr. Se consult Kiya fir unhone hume therapy centre ka suggestion Diya. Humne yha per visit kia to mam ne assessment krke sb kuch btaya , to mujhe us time bhut tension ho gyi . Fir mam ne thoda honsla dia. Ki we know that ye long process hai but therapy is very beneficial and effective. Fir humne yha per start kr dia after two days. Abhi hume bhut hi improvement hai apni bachi me thank you so much . ~ Ropp S
Hello mam , me aapka bhut bhut thank you karna chahti hun , aap sbki vajh se aaj mera beta school jaa rha hai, me sbhi parent ko yhi bolna chahugi ki jitni early age me hume apne bache me koi problem dikhti h uska jldi se assessment krwa ke uski therapy start kr deni chahiye , aaj me apne bache ke bare me aapko btati hun jb mera beta 2 sal ka tha to vo kuch is tarh ke behaviour dikha rha tha jo hume shi nhi lg rhe the , phle shi se uski development ho rhi thi but after two years vo ek dm se chise repeat krne lga, flapping, and bhut ziddi behviour ho gya. Fir hum thode time bad hospital gye to unhone hume speech therapy ka btaya . To hum speech therapy centre ki searching per lg gye. Fir humne ayush centre me visit kiya . To unhone mujhe pucha ki phone me to ni busy hota jada hm hum dono working hai , fir ghr per mere mother in law hoti hai fir vo old age ki TRF hai, fir vo phone ya tv usko de dete hai, Mam ne mujhe btaya ki gadget ki vjh se hi iska behaviour esa ho gya, Maine abhi apni job leave kr di abhi mera pura focus apne bache pr hi hai. Maine therapy ke sath sath ghr pr bhi bhut kuch usko krwaya. Jo jo mam btate the me usko vo sara kuch krwati thi. Abhi Mera beta school bhi jata hai . And bhut ache se recover kr rha hai. Thank you .❤️😊 ~ Preetpal K